Saturday, July 27, 2024


Bahut din se kuch likha nahi meine,
Aaj kuch likhne ka man karta hai,
Bahut royi hoon mein akele me
Aaj khul k hasne ka man karta hai.
Bahut danga fasaad ho chuka duniya mein
Aaj sabko gale milte dekhne ka man karta hai.
Bahut jaagi hoon raaton ko mein tension mein
Aaj sab kuch bhool k sone ka man karta hai.
Bahut help de chuki hoon mein sabko
Aaj kisi ka madad bhara haath thaamne ka man karta hai.
Bahut bhashan de chuki hoon mein sabko
Aaj kisi ki pyaar bhari dant khane ka man karta hai.
Bahut sahara ban chuki hoon mein apno ka
Aaj kisi k haathon mein girne ka man karta hai.
Bahut socha or yaad rakha hai aaj tak
Aaj sab kuch bhool jane ka man karta hai.
Bahut jee chuki hoon mein shayad is jeevan ko
Aaj chup chaap marne ka man karta hai.

Doston Mein koi kavi nahi hoon , bas halaat kayee baar insaan ko sochne par majboor kar dete hain aur bhavnaayen kavita ka roop le leti hain.yeh lines bhi meine aise hi baithe baithe likh deen , jo dil se nikla wo kagaz pe uker diya.

No comments: